Total Pageviews

Thursday, December 5, 2013

Aapke Prashnon Ke Kuch Uttar






Naye sadhak ke man me aksar aese kayi prashn hote hain jinka uttar unhe nahi milta aur wo idhar udhar bhatakte rehte hain, unhi prashon ke samadhan karta hua yah ek post.. sirf aap hi ke liye...

Mujhe Mantra sadhana karne ka bahut man karta hai magar koi guidance dijiye ki kahan se shuru karun ? Kuch galat kar dunga to kuch nuksaan na ho jaye isliye koi aesa prayog nahi karta hun...

Shishya naya purana kuch hota hi nahi ! Shishya to chahe bachha ho, budha ho, strii ho purush ho, kaesa bhi ho agar man me Guru ke prati purn samarpan hai aur vishwas hai sadhana me to avashya pehli bar me hi safalta milti hai. Gurudev to kehte hain ki mera shishya chahe 21 saal ka ho ya 21 din ka ho ka ho siddhiyan dete hue main dono me koi diference nahi rakhunga. Agar 21 dino me hi shishya me purn samarpan bhav a jata hai to sadhana me purn safalta prapt hoti hai. Isliye koi bhi pratham bar me hi Guru se diksha lekar aur Guru Mantra anusthan sampan karke sadhana ke kshetra me agey badh sakta hai.

Agar sadhana me anjane me koi galti ho bhi jati hai to Guru shukshm roop se har kshan sadhak ke paas upasthit rehkar uska mardarshan karte rehte hain jisse ki ki kabhi koi pareshani nahi aa pati.




Lakshmi sadhana ya rog Mukti sadhana aur anya sadhanayein kaese hoti hain au rise karne ke kya niyam hain ?

Alag alag sadhnao me alag alag vidhan se mantra jaap kiya jata hai, jo ki sadhana me hi likh diye jate hain. Kuch mantro ko 3 lakh jap karke siddh kiya jata hai, kuch mantro ko 5 lakh jap karke siddh kiya jata hai, magar samanya roop se to kisi bhi mantra ki siddhi 1.25 lakh yani sirf sawa lakh jap kar lene se hi us mantra ki siddhi ho jati hai. Iske sath me us devta se sambandhit Yantra bhi Gurudham se prapt karke apne puja sthan me sthapit karke nitya jap se pehle aur bad me uski puja karein. Yantra me hi devta ka vaas mana jata hai aur iski puja SHODASHOPCHAR ya PANCHPCHAR se karna chahiye.




Meri Girlfriend/Patni se nahi banti hai aur prayah chhoti chhoti baat pe jhagda ho jata hai kya iska koi upay hai ?

Mantron me itni shakti hoti hai ki asambhav kaarya bhi sahajta se sambhav ho jate hain aur yogiyon ne kiye hain, Gurudev ne kayi aese prayog karwaye hain jinka prabhav achuk hota hai aur hajaro logon ne shiviron me labh prapt kiye hain. Magar kisi bhi prayog ko karne se pehle Guru Mantra ka 1.25 lakh ka anusthan to karna hi padta hai taki sadhna ke liye urja prapt ho paye.




Mala kaese feri jati hai ? Iski sahi vidhi kya hai ?

Mantra jaap karne ka saral tarika yah hai ki mala ke ek-ek manke ko pakadkar ek baar mantra bona hai, fir dusra manka pakad ke dusri baar mantra bolna hai is prakar se puri mala ferni hai tab 1 mala mantra jaap hota hai. Mala ke manke ko Thumb se aur Middle finger aur Ring finger se pakda jata hai. Mala ferte samay mala ko ek kapde se dhak lena chahiye aur hriday ke paas rakhke mantra jaap kiya jata hai. Humare aas paas kayi shudra yoniya hoti hain jo ki humare mantra jap ka 40% fal le leti hain, isiliye mantra jap karte samay kisi kapde se dhak lena chahiye taki aesa na ho..

Mala me ek sumeru hota hai. Jo ek alag se manka hota hai us manke ko Sumeru kehte hain, us sumeru ko kabhi bhi langhna nahi chahiye isiliye mala jab puri fer lein tab usey palat lena cahahiye jisse ki akhri manka pahla ho jaye aur Sumeru langhni nahi pade.

 
Mala aur Yantra ki puja kaese ki jati hai aur yah kab karni chahiye ?


Mala aur Yantra ko roj sadhana shuru karne se pehle aur uthte samay SHODASHOPCHAR ya PACHOPCHAR se pujan kar leni chahiye. Agar jyada samay nahi ho to keval dhoop, deep, Kumkum, Akshat aur Pushp se hi pujan ho jata hai.




Mantra jaap karte samay kaun se aasan par baithna chahiye ?


Mantra jaap karte hue Padmasan ya Siddhasan laga kar baithna chahiye aur jab tak puri sadhna puri nahi ho jaye us din ki tab tak bina hile dule usi asan par sadhana karni chahiye. Shuru shuru me sukhaasan par bhi baithker mantra jap kar sakte hain magar dhyan rahe ki merudand(backbone) bilkul sidha rehna chahiye, taki urja ka pravaah sahi disha me ho sake.




Mantra jap/sadhana ke liye sabse upyukt samay kaun sa hai ?


Brahm muhurt yani subeh 4:20am se lekar 6:00 sabse upyukt samay hai kyunki is samay vatavran praan vaayu se yukt hota hai aur shanty rehti hai. Iske alawa ratri me bhi 10pm se jap kiya ja sakta hai magar yah dhyan rakhein ki jitney din ki bhi sadhna hai utne din ek nischit samay me hi shuru karein 5 ya 10 minute bhi agey pichhe mat karein.




Sadhana me dhoti pehanna kyun anivarya hai paent T-Shirt pehan kar kya nahi kar sakte ?


Paent/trousers me stitch hota hai yani ki ye kapde khandit hote hain jise pehankar jap karne se mantra bhi khandit ho jate hain magar dhoti pehankar karne se ya nahi hota isiliye mantra siddhi ke liye jis rang ki dhoti batayi hai us rang ki dhoti pehanna anivarya hai.




Sadhana kaese karni chahiye ?


Sadhana Gurudev ki photo samne rakhke unki ankhon me dekhte hue bina palak jhapkaye karni chahiye, kyunki shishya unhi se to sabkuch sikhta hai ! Guru ke baithne ka tarika kya hai, unke rehne ka dhang kya hai yah sab sadhak note kare aur sirf usi ko follow kar le to saflata prapt ho jati hai. Jab sadhak Veer bhav se majboot man se bina palak jhapkaye Gurudev ki photo dekhte hue mantra jaap karta hai to usey lagta hai ki Gurudev ke haav bhav baal rahe hain hai aur dhire dhire shishya ke netro me shakti aa pati hai.




Meri yah yah samasya hai iska samadhan kaese hoga ?? Gurudev kis prakar se samadhan karenge ?


Mantro ke madhyaam se bhog aur moksh dono ki prapti hoti hai aur kuch sadhanayein to jaese ki Manokamna purti sadhana hai use to koi bhi ichha ho shishya ki vah purn hoti hai aap vo karein apni iccha ko pratham din hath me jal lekar sankalp karte samay boliye ki is ichha ki purti ke liye mantra jap kar raha hoon aur vah avashya purn hoti hai. Iske liye bhi Guru Mantra ka anusthan to pehle karna hi padta hai.




Gurudev Dr. Narayan Dutt Shrimaliji ne to 1998 me sharir chhod diya tha. To fir wo humari sadhana me kaese madad karenge unhe hum Guru man bhi le to sadhna me guidance kaise milegi ?
Is prashna ke liye aapko spasht shabdon me yah bata dun ki Gurudev Dr. Narayan Dutt Shrimali, jinka sanyasi naam PARAMHANS SWAMI NIKHILESHWARANAND hai, wo aaj bhi hum shishyon se milne ate hain aur anubhavi shishya to aaj bhi unse baat karte hain aur sadhnatmak nirdesh prapt karte hain. Humare Gurudev koi samanya Guru nahi hain jo ki sharir samapt hone par samapt ho jayein. Pujya Gurudev 1964 me hue Kamakhya ke Tantrik Sammelan me kathin pratiyogita me sarvoch hokar President bane the aur tabhi inhe TANTRIK SAMRAT ki upadhi di gayi. Inke saman tantragya abhi bhi koi nahi kyunki Dada Gurudev ne picchle 25,000 varshon me keval 3 hi shishya banaye aur Pujya Gurudev unme se ek hue, atyant kathin pariksha dekar... Siddhashram vishwa ka sarvoch divya stan hai jahan ke Yogiyon ke liye mrityu jaese koi shabd nahi hain. Bhautik sharir chhodkar bhi har kshan we apne shishyon ke paas hi rehte hain. Bhale hi in netro se shishya unhe nahi dekh pata magar unki upasthiti ka anubhav to humesha hume rehta hai. Yeh aaj bhi utna hi satya hai.




Mujhe sadhana karte-karte bich me nind ane lagti hai main kya karun ??


Aesa isliye hota hai kyunki aap ankhein band karke mantra japte hain, iske bajaye ankhein  khuli rakhke Gurudev ko dekhte hue mantra jap karein to fir aesi dikkat nahi ayegi.




Bramcharya rakhne ka matlab kya hai ? Kya isme apni Mata aur behen se bhi baat nahi kar sakte ??


Brhmacharya rakhne ka tattparya hai mansik aur sharirik pavitrata, isme koi bhi Kaam uttejak chintan na karein. Bilkul aap apne pariwar walon ke sath reh sakte hain aur mil jhul sakte hain.




Sadhana me Disha ka itna mahatwa kyun hai ?


Sadhana me kis disha me baithkar mantra jaap ho iska apna ek alag mehatwa hai. Pratyek devi-devta ke rehne ke alag sthaan hain jab hum inke mantra karte hain to ye humare samne an eke liye baadhya ho jate hain isiliye hume usi disha me baithna chahiye kya yeh achhi baat hai ki Devta ayein aur hum kisi aur tareh muh kar ke baithe rahein




Kya aesa nahi ho sakta ki sadhana kisi bhi din shuru kar di jaye ? Akhir har pal achha hi hota hai isme achha bura kya ??


Nahi. Sadhana ek nischit din, ek nischit samay par hi shuru karni chahiye. Har din apne aap me alag hai inke devta alag alag hain, har kshan bhi apne aap me alag hain isiliye safaltadayak Muhurt me hi sadhana prarambh karni chahiye.



Kya kisi aur vyakti ki upasthiti me sadhana sampan ki ja sakti hai ??

Sadhana me sabse jyada jaruri hai ki mann ekaagra ho aur purn roop se apne Isht aur Gurudev me laga hua ho. Kisi aur vyakti ka room me hone par aesa nahi ho pata isiliye jaruri ho jta hai ki aap us waqt akele hon room me. Yadi aap ke ghar me aesa koi ekant karma nahi hai to aap kisi mandir ya ekant jageh par jaka r bhi sadhana kar sakte hai, magar mantra jaap roj ek hi jageh honi chahiye.




Anustthan kya hai? Sankalp kya hai ? Yagya Kya hai ?

Hawan kya hai ? Tarpan kya hai ? Maarjan kya hai ?

Ye kaise kiya jata hai ?


Anustthan kayi prakar ke kiye jate hain.

Laghu anusthan me 24,000 mantra jap kiya jata hai(e.g 27 mala nitya karke 9 din me 24,000 jap kar sakte hain) fir iska 10th hissa hawan kiya jata hai yani ki 240.

Madhyam anustthan me 1.25 lakh ka jap hota hai (e.g 33 mala nitya ferte hue 40 din me purn hota hai) fir 1250 mantron se aahuti.

Maha anustthan me 24 lakhjap karna chahiye (e.g 66 mala nitya karte hue 1 sal me purn) fir iska daswa hissa hawan kiya jata hai.

Anustthan ek nischit aur nirdharit avadhi me kiye gaye mantra jap ko kehte hain. Koshish karne chahiye ki kam se kam dino me yah sampan ho taki purn labh prapt ho.



Anusthhan shuru karne se pehle pratham din apne dahine hath me jal lekar is prakar se sankalp karna chahiye-

Main (amuk naam), (pita ka naam) ka putra, (amuk) Gotra se, pujya Gurudev Dr. Narayan Dutt Shrimaliji ka shishya aaj(din ka nam bolein), (jageh ka nam bolein) (...) sadhana sampan karne jar aha hun aur niyam purvak (...) dino me (...) itni malayein nitya ferunga taki mere is samasya ka samadhan ho. Pujya Gurudev mujhe safalta pradan karein.
Itna kehkar jal hath se chhod dein aur Shankh mudra pradrshit karein. Is prakar se sankalp lekar fir anusthhan shuru karein.


Strii sadhak ko mantra siddhi me Hawan, Tarpan, MArjan ityadi nahi karna padta. Keval Mantra jaap hi siddhi ke liye paryapt hai.


9 comments:

  1. Jai GuruDev.
    Behut acha aur upyogi lakh hai... guru bhai.

    ReplyDelete
  2. Kya period days me bhi mantra jaap kar sakti hu ?

    ReplyDelete
  3. जी नहीं, उसमें विश्राम लेकर पूर्ण शुद्धि वाले दिन से फिर वहीँ से साधना आगे जारी रखिये, जहाँ छूट गयी थी |

    ReplyDelete
  4. I would like to know what mantra should my son recite for his good being in life . He was born on the 7th May 1987 around 3.00am in Orrisa.
    Please guide me in this because he is getting and loosing job and not stable in life. He is staying in Delhi now.

    ReplyDelete
  5. Guru ji Kisi vidvaan ne kaha hai Ki mantra soye hue hote hai , japne se pehle un mantro ko jagrit krna hota hai , toh kya diksha lene se mantra jagrit Ho jata hai

    ReplyDelete
  6. Mai swayamvar parvati mantra ka jaap krna chahti hoo 108 din tk period ke smay ye kaishe kru

    ReplyDelete